Huawei Mate Xs - Shigo Tech

Breaking

Thursday, April 2, 2020

Huawei Mate Xs

Aap sabhi log ko Ram Navami Ki Hardik Shubhkamnaye.

Namaskaar Dosto Mera Name Shivam Sigh aapka sawagat Shigotech Blog mein.

Is post mein maine aapse bat ki hai Huawei Mate Xs ke bare mein jo ek flagship folding smartphone hai huawei ki taraf se aur share kiya hai isi Huawei Mate Xs ke bare mein.

Physical Review

Huawei Mate Xs ke Right side mein hai power lock aur unlock button thik upar laga  hai volume rocker, Uper ki side mein hai secondary microphone, IR Blaster aur Hybrid SIM tray, Left side bilkul clean hai aur phone mein niche ki taraf  hai primary microphone, USB-C port aur Speaker grill, dekhane mein phone premium look lagta hai.
Huawei Mate Xs mein Google service nhi milti hai aur Apps ke lia Huawei app gallery hai jaha popular App available hai.

Huawei Mate Xs


 Display

Huawei Mate Xs aata hai ek 8'' inc OLED Display ke saath mein aur phone ko fold karne par yeh ban jata hai 6.6" inc ka mein Screen normal use ke lia jaha screen quality kafi achi hai.

Huawei Mate Xs

Processor

Huawei Mare Xs chalta hai EMUI version10.0.1 par jo based hai Android 10 pe aur laga hai Huawei HiSilicon Kirin 990 5G Processor

Storage

Huawei Mare Xs  8GB RAM aur 512GB Internal srorage ke saath aata hai.

Camera

Huawei Mare Xs mein 4 camera hai ek Quad Rear Camera setup le saath mein jaha hai 40MP primary camera + 16MP Ultrawide Camera + 8MP Optical Zoom aur 3D TOF Camera aur LED flash yaha design ke wajah se selfie camera nhi diya gya ki aap phone ko fold karke back camera se selfie le sakte hai.

Huawei Mate Xs camera

Battery

Huawei Mare Xs mrin lagi hai 4500mAh ki battery hai aur saath mein 55W Supercharging ka support mil jata hai jo 30 minute mein 85% charge ho jati hai.

Security

Huawei Mate Xs phone ke power lock aur unlock button mein hi laga mil jata hai Fingerprint scanner
mil jata hai jo kafi fast kam karta hai, yaha design ke wajah se face unlock ka option nhi milta hai.

In The Box : Handset, earphones,SIM ejector tool, adapter, Non-removable battery included, USB-C
                      cable and user manual.

Price

Huawei Mate Xs India mein almost 2,04,000 INR mein available hoga, aise mein dekhate hai Huawei apne Huawei Mate Xs ko India kab launch karega aur kis kimat mein.

  Thank You!!!
 
Mujhe umeed hai aapko yeh post pasand aayegi. aap comment karke bataea aapko Huawei Mare Xs mein sabase acha feature kon sa laga.
 
Corona virus se bachane ke lia please aap sabhi ghar se bahar na nikale ghar mein hi rahe lock down ka palan kare, apane hatho ko sabun aur pani se thore thore time par dhote rahe, logo se duri banae rakhe tabhi ham sab log corona se bach paege, ghar mein rhe safe rahe  



Corona virus  Details : https://www.shigotech.com/2020/03/corona-virus.html
Corona kavach : https://www.shigotech.com/2020/03/corona-kavach.html


Jai Hind Vande Mataram.
Please Share, Support, Subscribe!!!
About:Shigotech is a blog ,where you can find basic and important details of gadget which you are willing to buy,This blog contains contents in hind.
Category: Science and Technology

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box

Popular Posts